Pahli baar nahi hua hai jisse bhartiya neta kah rahe hai ki pakistan ne abki baar galti kiya hai , ek bar ise maaf kar do ?. sachhai to yeh hai ki pakistani sarkar ka rawaiya apne janm se hi kattarta purnd , abibeki hokar antarrastiya kanoono ko n manne wala manwata ke prti apradhi raha hai. Kisi rastra ka sarbangeend bikash tabhi hota hai jab sabhi jatiyo / dharmo ke nagriko ko desh me uchit man samman ke saath surkchha milti hai , pakistan ki pakchhpati sarkar ke sambidhan me manu jati ke kalyand ki koi yojna hi nahi banai jaati. N to pakistani sarkar ne bibhinn dhrmo ke doodh chhipe rahsyyo ko samghne ki koshish kiya. Pakistani sarkar avang kattar khunkhar atankbadiyo ki mili juli gupt harkto se aisa kuchh nahi lagta ki pakistan bhbishya me sudhar jaayega. Pakisan mouka pane par jab apne aaka Ameriki nahriko ko nahi baksh pa raha hai to hinustan ko kya chhodega. Hinustan ko pakistan ko sudharne ke liye utna hi sambandh rakhna chahiye jitna chal jaaye. Biswash me lekar peeth me chhura [ knife ] bhokne ki pakistani sarkar ki purani aadat hai . bhartiya sena ke jawano ne desh ke prti apni jimmedariyo ko nibhaya hai , pakistani sarkar dwara prayojit awaidh ghush paithio ko rokne me bahadur sainiko ki hattya ki gayi hai .pakistan ne janewa samghouto ka khule aam majak udaya hai.
rastriya / antar rastriya media ki khbro ko swth: sanggyan me lekar pakistani sainiko ke amanwiya / barbar kritya par pakistani sarkar dwara koi karywai n karne ke krity ko swabhawik mante hue sanukt rastra sangh ko, arthik prtibandh ke saat sainik karywai karni chahiye. Pakistai sarkar ke amaniviya krityo par agar sanukt rastra sangh dwara koi karyhi ki gai to pure biswa me ek sandesh jaayega ki sanukt rastra sangh ek baiswik nyayaik sanstha hone ke bajay ek byapri hai jo apne deergh kalik sambandho ko dhyan me rakh kar karywai karta hai .
Krishna singh jnp
No comments:
Post a Comment