On line FIR ki subidha se bhrastachar ke saath satir apradhiyo ke badhte mano bal par bhi ankush lagega . Jitne apradh hamari pulish prshashan dwara n darj kar chhipaye jaate hai , usi raftaar se kanoon ki nigah [ ceema] me n aane ke karand apradhiyo ka mano bal badh jaata hai. Nyayalay bhi n chahte hue shatir apradhiyo ke hath ka khilouna ban kar rah jaata hai. Aise tamam udaharand hai jab , jab polce ne peedit pakchh ka application jaach ke naam par lekar rakh liya ya mamle ki gamghirata ko nyayalay me n le jaakar khud leepa poti kar diya tha. Police ki marji se FIR par gareeb tabka adhik prbhawit rahta hai, police ka policia rob bhi gareeb janta par hi adhik chlta hai. Samaj me kuchh log aise bhi hai jo police ka kalpnik bhay dikha kar jabran apna byktigat kaam bhi karate hai. Peedit pakchh apradhiyo ka khilouna ban kar swang apradh ke chhetra me utar jata hai.
1-On line FIR ki subidha se chhetria police report darj n kar apradh ka graph kam nahi kar paayegi. Peedit pakchh ko awashya samay se nyay milega.
2- On line FIR ki subidha jile par darj hokar karywahi ke liye thane par aane se nischit nirnkush adhikariyo ke samne Shashan tatha manniya nyay palika ka bhay awashya bana rahega.
Krishna singh jnp
No comments:
Post a Comment