Friday, January 11, 2013

Cash subsidy [ nakad aarthik sahayta ]

Seedha sa hissab gareebo ke liye di jaane wali subidha jaise chawal gehu daal aadi ke paise ko seedhe unke khate me dalna hai. Lekin kam utna aasan nahi hai jitna samgha jaa raha hai. Kuchh saal pahle tak gramind anchlo me gareebo ke liye jawahar rojgaar yojna chlai jati thi ,jisme kabhi 58 rup. Nakad ya 7 kg chawal sath me shesh 23 rup. Ka bhugtaan nakad kar diya jata tha , jiske ghotalo ki jaach kuchh jilo me chal rahi hai. Kahi - kahi kuchh ghapla hua, kahi - kahi pure paise nikal kar nikale gaye paiso me 58 ka bhag dekar manak ke anushar MB ke hissab se bhugtaan kar liya jaata tha. Kendra sarkar dwara jab majdoori 58 se badha kar 120 rup. Kar diya gaya tha, khoj khoj kar job kard banaye gaye khato me bhugtaan bhi hone laga , afsosh antar keval itna hua ki jo paisa pahle seedhe nikal kar le liya jaata tha , wahi ATM card ke madhyam se ya jitne din kaam kiye tumhara shesh hamara kah kar le liya jaata hai. Akhir me itna bada nigrani tantra fail kaise ho jaata hai ? Sarkar ki mahtwa kanchhi yojnao ki hattya garbh me kaise ho jaati hai is baat par bhi bichar manthan hona chahiye.
Abhi pichhli sarkar me jachh ka order hua ki kitne log hai , jo Sc & St ke naam par kote ki dukan chala rahe hai.deepak tale andhera. Twrit shikayt / jaach kendra n hone se har chhetra ke apradhiyo ka mano bal badhta ja raha hai.
Ham sabko dhyan me rakhna chahiye ki nakad subsidy gareebo tak pahuche ,pure mahine ka ration nakad paise se khreed kar uska bouchar jama karne par hi agle mahine ki subsidy labharthi ke khate me bheji jay.
Krishna singh jnp

No comments:

Post a Comment