Saturday, November 3, 2012

Bhrsta char par chuppee [ part 3] neha mar gai

neha ek honhar gao me abhao me rah kar padhai kar rahi thi. Us samay uski umra lagbhag 14 - 15 saal thi. Uski tabiyat achanak kharab ko gai , uska baap awara avang free shrab ka soukeen tha . Uski maa ne bataya ki neha ki tabiyat kharab hai jara kahi dikhwa do maine lejakar badlapur me dikhaya wahan typhoid diagnose kiya gaya. Doct. Ne dawa likh diya karib 300 rup. Ki thi aaram ho gaya. Sanyog se aaram hone ke baad ham bhool gaye. Tabhi uske bhai ki shadi pad gai sare ghar ki jimmedari usi ki thi. Shadi me uska baap gau walo se 5 se 10 rup / mahine byaj [intrest] par 25000 rup karj lekar dhoom dham se shadi ki taiyari kar raha tha, maine uske baap ko bula kar samghya ki akir me tum garib ho ager tumhare pass paisa hai to tum mandir me shadi karke sara paisa ladke- ladki ke naam se jama kar do nahi mane samajik dikhawe ke chkkar me karib 25 - 30 hazar ka karj daar ho gaya. Bhai ki shadi ke baad neha ko piliya [joundice] ho gaya pariwar me asikchha avang garibi to thi hi , neha ke pita ji piliya ghdane ke liye anpadh gharelu docter ke paas le gaya jo ki sundey aour tuesdey ko dawa pilata tha . Baap ke pass paisa nahi tha jo thoda bahut kamata leta, shrab pi jaata tha. Neha ka theek dhang se ilag n hone ke karand tamamsarkari dawo / dhkosle ko dhata kar khelne padhne ki umra me ghola chhap doctro ke chngul me pad kar ek honhar ladki is sansar se hamesha ke liye pariwar ko rota bilkta chood kar rote bilktechali gai.
Krishna singh jnp

No comments:

Post a Comment